Love Shayari
Hindi Shayari
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi
..
Mohabbat
Mohabbat khudaa ki Rehmat hai
Mehboob us mohabbat ke alaamat hai
Hum to paarde me the aur qaasid paigaam le aaya
Khat unke aane ka paigaam le aaya
Hum unnke ammad ki ummid lagaye baaite the aur dar
pe wo aaye
Unnke deedar-e-beqarari me hum parda-e-hayaa bhool
aaye!
Romantic Shayari
chaaNdnii raat mein chaaNd ke saamne
ruKh se pardaa haTaanaa Gazab ho gayaa
chaaNdanii chhup ga_ii chaaNd sharmaa gayaa
aap kaa muskuraanaa Gazab ho gayaa
dil kii dharkan merii tez hone lagii
raat aaNkhon mein kaaNTen chubhone lagii
vasl kii raat mein baat hii baat mein
yuuN teraa ruuTh jaanaa Gazab ho gayaa
jhuum kar kaalii kaalii ghaTaa jab uThii
raat apanii to karavaT badlate kaTii
kuchh to mausam ne bechain rakkhaa hame.n
kuchh teraa yaad aanaa Gazab ho gayaa
apane hisse mein tuufaaN kii taqadiir
thii
zindagii apanii maujon kii zanjiir thii
Duub jaane kaa apne hamen Gam na thaa
us kaa saahil pe aanaa Gazab ho gayaa
Bhool Gaya!
Ankhon mein tere dekhate hii
hum apni pehachan bhool gaye
Jane kya nasha hai unmein
ki har maykhane kaa patha bhool gaye.
Love ki Yaadein
aanken band kar bhi hum tera deedar
karte hain
aee sanam hum to sirf tum se pyar karte hain.
lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta
saans rahte, teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
aakhiri pal tak oo bewafaa , tujehe yaad karta hoon
teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.
Hawa Mein Tum...
Sadal se Mahekti hui
Purcafe Hawa ka Zokaa
Koi Lehraiye too
Lagta hai ke Tum Ho.
|