Shayari
Aaj Kyan Hoon Mein Tumhari?
Aaj Kyan Hoon Mein Tumhari?
jaan thi tumhaari ek din
aaj kya hu mai
kho gayi is duniya mai
aaj kaha hu mai...
jaha tum ho
waha dhoondoo mai apne aap ko
ho kaha tum
dhoondoo mai apne khawab ko
kyu pard gayi parchaai mere chaand par
kyu rakh diya khanjhar meri jaan par
phoolo se bhi poocha maine
in hawao mai bhi pukaara tumhe
na suni awaaz meri kisi ne
na suni yeh faryaad meri kisi ne
nadiyo ne bhi gaana chord diya
hai saagar ki lehere bhi khamosh
kho diya apne app do
ab kho rahe hai hosh
na rahe aasmaan ke hum
na rahe hum is dharti ke
na zinda hai yeh jaan ab
na tere liye ab marti re...
|