Shayari
Pyar Ek Ibaadat
Ke Manzilein Aur Bhi Hai
Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai
Raasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai
Saahil se takarakar laut jaati hai har lehar
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Dhal jaata hai suraj bhi har shaam
Subahe abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Jindagi mana humne dhadkano ki mohtaaz hai
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Pyar Ek Ibaadat
Na mai Kamzor hoon, na mera Pyar
Kaun Darata hai iss Zamane sei
Kyun inse Bayan karu Mai Apna Pyar
Kyun Labo pe Layou Mai Unka Naam
Pyar ki Hakkikat kaya Duniya jane
Pyar to veh Ibaadat hai Jo Dil mein Umre
Aur Aankhon se Bayan Ho!
MARHAM
Ek Be-wafa ke Zakham Pe Marham Lagane Hum Gaye
Marham ki kasam, Marham na mila,
Marham ki jagah Mar...hum...gaye.....
Tujhe Yaad Karta Hoon..
Aanken band kar bhi, hum tera deedar karte hain,
Aye sanam, hum to sirf tum se pyar karte hain.
Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte, teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
Aakhiri pal tak o bewafaa, tujehe yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.
|