Shayari
DARD-E-DIL
usko kya saaza dun jisne muhabbat mein humara dil
tor diya
gunah to humne kiya jo uski baanton ko muhabbat ka
rang diya
Dil..
sine se lagaya hota aap ko, agar aap dil ke paas hote
dil to khair rehne do kya chahta, agar aap nazar ke
paas hote..
Dil...
Aaj jab tere baalon ko haatho se sahlata hoon....
Lagta hai... kisi kaantedaar jhari ko haath laga raha
hoon...
jee karta hai, in baalon ko trim kar shampoo karoon.....
nahin to phir apne haath hi dho daloon....
Makhmali Chaddar
mein ek nadiya si bahnay lagi thi
ki tum toofaan ban kar aa gaye
baha kar meray mann kay bandh
tum hawa ka jhonkha ban ud gaye
meri asha kay deep jhilmilaye thay
ek pal mein bhujha kar chalay gaye
kyon mein tumko rok nahin paati
kyon mein tumko bhool nahin paati
pagali si mein dekhti rah jaati hoon
varsha ritu ki baadh jaaisay
meray mann ko rondh jaatay ho
rahe jaati hai tumhaari yaadein
makhmali chaddar si beechi
meray mann kay har konay par...
|